ban kar nawa-e-bulbul rangini-e-chaman mein ban kar bahaar-e-gulshan ghunchon ke pairahan mein ban kar hasin tabassum taron ki anjuman mein meri masarraton ke rangin khwab aa ja duniya-e-dil ke malik han le hijab aa ja duniya-e-rang-o-bu mein jaan-e-bahaar ban kar hasti ke zamzamon mein saz-e-qarar ban kar sahba-e-atishin ka rangin khumar ban kar daur-e-sharab ban kar jaan-e-sharab aa ja duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja ye subh ki bahaaren ye sham ke nazare nasrin-o-ghuncha-o-gul shams-o-qamar sitare be-kaif ho gae hain tere baghair pyare tarik jaan-o-dil ke ai mahtab aa ja duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja mafqud ho gai hai qalb-o-jigar ki rahat wamanda ruh-e-muztar aashufta saz-e-fitrat aa ja ki dekh le ab bechain dil ki haalat ai saz-e-zindagi ke tar-e-rabab aa ja duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja aa ja ki phir chadha len jam-e-shabab-o-masti aa ja ki phir basa len duniya-e-dil ki basti aa ja ki gharq kar den ulfat mein apni hasti mafhum-e-zist aa ja tabir-e-khwab aa ja duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja