taghir-e-zamana ke hathon khud apni haqiqat bhul gae duniya ke tariqe yaad rahe khud apni tariqat bhul gae gulha-e-tamanna chun chun ke aaraish-e-mahfil yaad rahi kaliyon ka masalna yaad raha phulon ki nazakat bhul gae har sham fida-e-nosh rahe har subh khumar-alud rahe aaghaz-e-masarrat yaad raha anjam-e-masarrat bhul gae daman-e-nazar ke partaw mein takhil ke guna-gun naqshe ek naqsh-e-tasawwur ban to gae par apni hi surat bhul gae allah-re fareb-e-rang-e-amal madhoshi-e-alam kya kahna girdab-e-hawadis se nikle tufan ki haalat bhul gae iman-o-mohabbat ke jalwe sab nafs ke tabe ho ke rahe paimana-e-ulfat phenk diya paiman-e-mohabbat bhul gae jab aankh lagi majbur na the bedar hue mayus hue ai rahraw-e-manzil rah bata hum rah-e-sadaqat bhul gae mahfil bhi wahi mutrib bhi wahi sahba bhi wahi saghar bhi wahi mai-nosh jo pine aae the sahba-e-mohabbat bhul gae