jahaalat ki tarikiyon ko mitaya haqiqat ke jalwon ka dariya bahaya dimaghon pe khush-kaifiyan ban ke chhaya nigahon mein bedariyan ban ke aaya tafakkur ko manus-e-irfan banaya taqqul mein fanus-e-iman jalaya tajassus ki ba-rangiyon par rijhaya taraddud ki be-rangiyon se chhudaya masaib mein rote huon ko hansaya maraatib mein sote huon ko jagaya jahan pastiyon ki taraf qalb aaya wahin pastiyon se ubharna sikhaya jahan aas tuti qadam dagmagaya wahin hath thama sahaara dilaya mohabbat se aapas mein rahna sikhaya hamesha na mitne ka shewa bataya taraqqi ki rahon mein aage badhaya tamaddun ki duniya mein yakta banaya nasheb-o-faraaz-e-zamana bataya chalen jis taraf ki hawaen chalaya 'sahar' ilm ne hum ko insan banaya nahin ko gharaz ilm ne han banaya