aa jao

aa jao pani ke ghire tal mein patthar saf nazar aate hain
khidki ke pichhe chehron mein sisa bharta jata hai

raat akeli aangan aangan apne rassi phenkti hai
unchi haweli ke dalan se pakke ber utha kar

tere khal-o-khat ka bosa leta hun
aur hawa ki dhup mili chadar ke niche so jata hun

jalta jism pahad se din aur lohe ki badon mein jhulse khet
manka manka aansu girne ko hain

chidiyan khwabon ke juzdan mein waraq ulatti hain
phul badan ki tahni par se tut ke girte jate hain

aa jao thanda pani sharbat ban kar bilak raha hai
jism bukhar se pila phul bana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close