baadal jhuk aae the

baadal jhuk aae the
aamon ki dali ke niche kachchi mitti soi hui thi

tez hawa se patte niche girte the
main tanha ped ke pas khada tha

soch raha tha rukhsat aisi hoti hai
sab kuchh dil ki handi mein se bahar aa kar

be-khushbu ke phul ki surat ho jata hai
rahen takti sapne soti aankhen

aansu bhar kar collar pe aa jati hain
meinh ke pardon mein se dil ki mitti

apne bojhal sukhnon ke pani mein dhul kar
pal ke pal anjaan hawa mein kho jati hai

sham ki banhen dastak ban kar aati hain
aur khud hi apne aap hawa ki lahron mein kho jati hain

koi nahin hai
dil ne apne sare kaghaz tham liye hain

meinh ki bunden jin pe girti rahti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close