aa lagi hai ret diwaron ke sath sare darwazon ke sath surkh inton ki chhaton par rengti hai nili nili khidkiyon se jhankti hai ret ret ruk ja khel tai kar len sunahre tash ke patton se darzon rauzanon ko band kar len ret ruk ja sust barsaten ki jin par daud padna jin ko danton mein chaba lena koi mushkil na tha tu ne wo sari nigal dali hain raat raat hum hanste rahe ai ret tu diwani billi thi jo apni dum ke pichhe ghumti jati thi us ko chatti jati thi raat ret ki ek umr hai ek waqt hai lekin hamein khud se juda karti chali jati hai ret na-gahan hum sab pe chha jaane ki khatir ye hamari maut ban kar taza kar deti hai yaaden dur ki ya der ki ret ko mutthi mein le kar dekhte hain apne poron se use chhante hue hum dekhte hain apne panw mein phisalte dekhte hain ret par chalte hue apne gesu se at jate hain bhar jate hain pairahan hamare baatinon ko chirti jati hai ret phailti jati hai jism-o-jaan ke har-su hum pe ghera dalti jati hai ret ret ek musbat nafi thi ret sarhad thi kabhi ret aarif ki aziyyat ka badal thi aansuon ki gham ki pahnai thi ret apni juyai thi ret ret mein har-kas the hum dusra koi na tha ret wo duniya thi jis par dushmanon ki mohr lag sakti na thi us ko apna tak koi sakta na tha ret par hum sun rahe hain aaj pirana-sari ki apni tanhai ki chap din ke sahil par utar kar aane wali raat ke tude lagati ja rahi hai na-gahan ki be-nihayat ko uda lai hai ret dil ke sune-pan mein dar aai hai ret ret