koi shisha chatakhta hai kisi billor ki tadkhan mere kanon tak aati hai sutun-e-ustukhwan jis par mera baam-e-shikasta hai yakayak dol jata hai meri gardan se kuchh niche jahan ye ridh ki chob-e-sitada kapkapi mein hai wahin wiswas ke aur khauf ke aur yas ke jinnat wahshat rag mein apna qadimi git gate hain tanaw is tarah jaise tanab-e-jaan khinchti ho dabao is tarah ka hai main jaise qulzum-e-tarik ki gahraiyon mein hun ki sab par zau-fishan suraj jahan saya nahin karta so rang o raushni ke aur hararat ke sandese bhi nahin aate lahu jun bahr-e-ashufta sar-e-uftan ke sahil se damadam sar patakhta hai koi shisha chatakhta hai kisi billor ki tadkhan mere kanon tak aati hai