![](http://cdn.pagalshayari.com/images/nazm/aabla-amjad-islam-amjad-nazm-english.jpg)
udasi ke ufuq par jab tumhaari yaad ke jugnu chamakte hain to meri ruh par rakkha hua ye hijr ka patthar chamakti barf ki surat pighalta hai! agarche yun pighalne se ye patthar, sang-reza to nahin banta! magar ek hausla sa dil ko hota hai, ki jaise sar-ba-sar tarik shab mein bhi agar ek zard-ru, sahma hua tara nikal aae to qatil raat ka be-ism jadu tut jata hai musafir ke safar ka rasta to kam nahin hota magar tare ki chilman se koi bhula hua manzar achanak jagmagata hai! sulagte panw mein ek aabla sa phut jata hai
This is a great tara ki shayari. Please share if you liked this!!!