wo raat kitni ajib thi kat nahin rahi thi ki waqt hi jaise ruk gaya tha zaban chup thi nigahen ek dastan-e-mahrumi-e-tamanna suna rahi thin bisat-e-aghosh bujh gai thi hamara hi intizar tha farsh-e-dil-bari ko magar hum apni sharafat-e-nafs ki giran-bariyon se majbur ho gae the khud apni fitrat se is qadar dur ho gae the ki dil ki aawaz sun na pae lahu ki gardish bhi waqt ke sath tham gai thi hum us ke haq mein wo aabla the jo phutta hai na sukhta hai