fasla jab tumhaare mere darmiyan ka zara badh gaya to tumhaari judai ke ehsas ki garm bunden meri muntazir chashm-e-be-khwab se raat bhar qatra qatra tapakti rahin subh tak karwaten mere bistar pe jalti rahin aag si khun ke sath mere badan mein dahakti rahi yaad ki shama kamre mein shab-bhar sulagti rahi aur tumhaara nasha meri nas nas mein til til utarta raha mera sara wajud ek an-chahi maut ek ek lamha marta raha