abr yun chha raha hai aabu par jaise pahra ho dhundli shamon par ya ki aaen nazar siyah sae larzan larzan bilauri jamon par ye ghata chha rahi hai sawan ki zulf bikhri hai ya tere rukh par baadalon mein chamakti hai bijli hansi phuti hai ya tere rukh par girti hai baadalon se yun bunden jam-e-labrez jun chhalakta hai jhumte hain hawa se yun ashjar rind pi pi ke jun bahakta hai sabza phuta hai ye pahadon par ya koi narm pairahan hai ye hai ye rang-e-bahaar zeb-e-nazar sabz jode ki ya phaban hai ye jhil se yun lipat gaya kohra bachcha ek man se jun lipat jae ya ki bichhdi hui si doshiza aa ke aaghosh mein simat jae chir ke baadalon ko ek kiran dafatan jhil par thirak jae jis tarah ek urus-e-nau ka kahin rukh se aanchal kabhi sarak jae dur kohsar mein ye girte hue saz bajte hain aabshaaron ke qahqahe jaise nuqrai se kahin gunj uthte hain mah-paron ke kale ujle se tairte baadal jhil ki sath par chamakte hain naqsh jis tarah ranj-o-rahat ke dil ke aaine mein jhalakte hain thandi thandi hawa ke jhonkon mein yun mera iztirab kho jae jaise rota bisurta bachcha god mein man ki thak ke so jae ek chanchal hawa ke jhonke se sath-e-hamwar-e-ab hil jae jaise baad-e-saba ki jumbish se ghuncha-e-nim-baz khil jae gunj kar jaise nai-nawaz ki nai shab ka sannata tod deti hai yunhi soe hue mere dil ko yaad koi jhinjhod deti hai jhank kar baadalon ki or se yun jhil par chand thartharaata hai jaise mazi ke dhundlakon se kahin ek hasin chehra muskuraata hai