maut ek aham kaam hai ise yaksu ho kar karna chahiye ya sare kaam nimta kar kisi karobari saude se pahle intikhabi muhim ke dauran aur nazm ke wast mein maut nahin aani chahiye maut se pahle irade pure kar lene chahiyen unhen dariya mein phenk dena chahiye ya unhen wasiyyat mein likh dena chahiye aisa karne wale udas ho kar marte hain aur un ki maut utni afsosnak nahin hoti jitni un ki jo maut se pahle apne kaam nahin nimtate aur hairan ho kar mar jate hain