jiwan to isi shash-o-panj mein guzar jata hai duniya rahne ki jagah hai bhi ya nahin wo log jin se hum bilkul milna nahin chahte wahi hum se kyun musalsal mil rahe hote hain jinhen hum bilkul dekhna nahin chahte wahi kyun musalsal dikhai de rahe hote hain chahiye to ye tha ki hum apne fuzul dil ko kisi khairaat-khane mein rakh chhodte to khairaat dene wale khairaat ke sath hiqarat bhi bant rahe hote agar zamin bhar ke ped ek ug kar dobara na ugte to sath chalne ya sath rahne ka ahd koi bhi nahin karta nabud bud ko aur bud nabud ko khair-baad kah chuka hun tab koi kisi na puchhta ki kaun kya hai kyun hai kaise hai namaz to faqat niyyat hai magar sire se niyyat hi nahin ki gai kash kufr hi sachcha hota aisa hua hi nahin ki aaj tak pani ne pani ko aa liya aur aag ko aag lag gai mohabbat ko agar mohabbat lahaq ho jati to koi nahaq ji nahin raha hota aakhir aisi mausiqi kahan hai jo aawaz aur samaat se mawara ho