masalon ke yakh-basta sahra mein mera aadha badan dhans chuka hai barson se main gada hua hun barf ke andar khada hua hun kai bar mera badan mukammal taur par barf ke andar dhans chuka hai wo suraj khuda ka suraj sab ke khuda ka suraj jis ki shuaen maslahat ka malbus odh kar mere qarib mera mizaj puchhne ke liye aati hain aur mere sar se aadhe badan tak barf ko chat kar mere badan ko uryan kar ke chali jati hain aur aasman ki apni sunahri masnad par baith kar meri uryaniyat se lutf-andoz hoti hain