mujhe teri mohabbat ki qasam aisa na hona tha gham-e-darman kasir aur dard kam aisa na hona tha amiron ko nisab-e-sim-o-zar muflis tahi-daman tera dast-e-karam abr-e-karam aisa na hona tha kahin dahqan ke sine par hain mohren faqa-masti ki kahin takht-e-sikandar jah-e-jam aisa na hona tha kahin changez ke honton pe mauj-e-khanda-e-rangin kahin mazlum ki aankhon mein nam aisa na hona tha jabin-e-shauq ko sajdon se fursat hi nahin milti kam-az-kam husn ka naqsh-e-qadam aisa na hona tha riya-kari ka parcham lahlahae khanqahon par nigun-sar ishq-o-masti ka alam aisa na hona tha hazaron sal guzre hain abhi tak teri duniya mein wahi hangama-e-la-o-na'am aisa na hona tha latafat be-kasafat kuchh nahin mana magar ya-rab sanam-khane mein buniyaad-e-haram aisa na hona tha agar paida hi karna tha mujhe behis ghulamon mein to phir meri nawa ka zer-o-bam aisa na hona tha mujhe pas-e-ubudiyyat hai lekin ye bhi kahne de jahan teri khudai ki qasam aisa na hona tha