apne adhure wajud ke sath main ne apni aadhi qabr man ki kokh mein banai aur aadhi bap ke dil mein main apni donon qabron mein thoda thoda ji raha hun thoda thoda mar raha hun masiha ne apne nuskhe mein meri tahlil ki tajwiz likhi hai baba ne mere dobara janm ka mashwara manga aur man ne mere be-nam katbe ko aansuon se saf kiya tab mere adhure aur pure janm ka faisla mujh par chhod diya gaya do qabron mein bane wajud ka takhmina lagate hue sochta hun kya karun? marne ke liye ji uthun? ya jine ke liye multawi ho jaun? pyare ristho! main ek taraf duaon ke kafan mein lipta pada hun aur dusri taraf mere sirhane suraj-mukhi ka phul dhara hai