sab se achchha khel hai ajnabiyyat ko kuredna sab se achchha khel hai waqt-guzari waqt bahut hai hamare pas kudhte rahne ke liye aur baaten karne ke liye diwaron se khud-kalami ke andaz mein diwaren kahan sunti hain diwaren to bas diwaren hain jo hail rahti hain rishton ke darmiyan jin par latkae ja sakte hain rishte! matruk jazbon ke make-up mein lipte liptae be-chehra poster purane calender ki tarah utar phenkne ke liye waqt ki qashen! waqt bahut hai hamare pas waqt guzari ke liye computer screen par raushan rahte hain be-hisab gad-mad huruf be-shumar be-khal-o-khat aawazen! ajnabiyyat ki tahon se nae rishte nae talluq jinhen latkaya ja sake calender ki tarah sakht-dil diwaron par jinhen latkaya ja sake calender ki tarah sab se achchha khel hai ajnabiyyat ko kuredna aur kured rahe hain hamare bachche nae rishte nae ghar nae watan khel hi khel mein kitna be-rishta kitna be-ghar kitna be-watan kar diya hai hamein hamare bachchon ne!!! hamare pas to sirf diwaren bachi hain jin par latkai ja sakti hai be-masraf rishton ki faraghat!! aur waqt bahut hai hamare pas!!!