larazne wale laraz rahe hain larazte jhonke guzarte bal khate rengte sarsaraate jhonke nisai malbus ki tarah sarsarane wale kadakne wali ki chabukon se agarche daur-e-rawan ke aansu tapak rahe hain magar nazar jis taraf bhi uthti hai dekhti hai guzar rahe hain guzarne wale ye kaun dubka hua is aawara raste mein khada hua hai ki jaise sabun ka koi rangin bulbula ho zamin ke bachpan mein jo bhi shai thi wo na-shanasa-e-arzu thi shabab aaya to rengne wali reng uthi aur aaj ye haal hai ki har shai ye chahti hai ki ek tufan ban ke girae raston mein ye kaun dubka hua us aawara raste mein khada hua hai ki jis tarah bahte bahte aawaz ruk ke ye sochne lagi ho ki ju-e-sahra bahegi kab tak ye zindagi ek ju-e-sahra hai bah rahi hai larazne wale laraz rahe hain magar nazar jis taraf bhi uthti hai dekhti hai guzar rahe hain guzarne wale