tum kya jaano tum to aksar so jati ho raat ke pichhle pahar darakhton ki shakhon par adh-roi aankhen ugti hain manzar manzar aadhe aansu pura hone ki khwahish mein mar jate hain aadhi siski ek mukammal hichki banne ki ummid pe adh-boli aawaz se mil kar chup ke pure shor se jab takraati hai to aankhen tut ke bah jati hain aadhi raat ke aadhe hath pe jab aaine ugte hain kya hota hai tum kya jaano chehron ki aadhi taswiren jismon ki aadhi diwar se gir jaen to aks adhure rah jate hain aadhe bed par sone wale khwab ka dukh kya hota hai waqt ki aadhi ungli tham ke chalne wale aadhe sans ka pura dukh tum kya jaano tum to aksar so jati ho