mere dil ko yaqin tha kisi ne sach kaha hai ki rishte mar nahin sakte hamare darmiyan jab rabte na-mo'tabar thahren to rishte kaam aate hain ye tute rabton ko jod dete hain mere dil ko yaqin tha magar in chand barson mein kuchh aise ajnabi mausam mere andar utar aae samay ke sath ab mujh ko yaqin hone laga hai ki aisa bhi to hota hai hamare darmiyan jab rabte na-mo'tabar thahren to rishte sar patak ke mar bhi jate hain