muddaton se khamoshi ke be-ant warnon ki andhi gupha mein khada wo meri putliyon mein sawalon ka neza utare hue puchhta hai main teri tamanna mein apne liye dard ke ek siyah-ru samundar se tanhaiyon ke siyah sip laya sukh ke sare diye aur masarrat ki malaon ko tod kar dukh ka war main ne manga ki tu meri rakhsha ko aae magar mujh ko kyun in aziyyat ki kali salibon pe khamoshiyon ki darinda-sifat kil se jad diya hai mujhe kis liye phenka gaya hai