sadiyan qatar-dar-qatar khadi hain apni jagah sakit-o-jamid bade tajassus se dekhti hain ek dusre se baaten karti hain usi ek masale par jise hal na kar pane ka afsos hai peshani pe banti bigadti lakiron ki shakl mein numayan hai jise hal karne ke liye allah ne kitne hi nabi aur autar zamin par bheje unhon ne apne kalam se is zamin ko sarfaraaz kiya waqt guzarta raha guzarta raha guzarta raha magar masala waise ka waisa hi hai ab bhi bilkul pahle ki tarah balki pahle se bhi zyaada khaufnak shakl mein wahi masala aadmi ke insan banne ka