ai ki tha uns tujhe ishq ke afsanon se zindagani teri aabaad thi rumanon se sher ki god mein palti thi jawani teri tere sheron se ubalti thi jawani teri rashk-e-firdaus tha har husn bhara khwab tera ek pamal khilauna tha ye mahtab tera nikhat-e-sher se mahki hui rahti thi sada nashsha-e-fikr mein bahki hui rahti thi sada shirkat-e-ghair se begana the naghme tere ismat-e-hur ka afsana the naghme tere sher ki khalwat-e-rangin thi pari-khana tera mast khwabon ke jaziron mein tha kashana tera ghaeb-az-chashm thi jannat ki bahaaron ki tarah dast-e-insan se thi mahfuz sitaron ki tarah sohbat-e-ghair se ghabraati thi tanhai teri aaine se bhi to sharmati thi tanhai teri subh ki tarah se doshiza thi hasti teri bu-e-gul ki tarah pakiza thi hasti teri naghma-o-sher ke firdaus mein tu rahti thi yaksar ilham o tarannum tha jo tu kahti thi tere ashaar the jannat ki bahaaron ke hujum tere afkar the zarrin sitaron ke hujum dard-e-sheri ke tassur se to maghmum thi tu aasman ka magar ek ghuncha-e-masum thi tu mauj-e-kausar ka chhalakta hua paimana thi ghair honton ke tasawwur se bhi begana thi ab gawara hui kyun ghair ki sohbat tujh ko kyun pasand aa gai na-jins ki shirkat tujh ko auj-e-taqdis ko pasti ki ada bha gai kyun teri tanhai ki jannat pe khizan chha gai kyun sher o ruman ke wo khwab kahan hain tere wo nuqush-e-gul-o-mahtab kahan hain tere kaun si turfa ada bha gai is duniya mein khuld ko chhod ke kyun aa gai is duniya mein ho gai aam tu nur-e-mah-e-taban ki tarah aah kyun jal na bujhi sham-e-shabistan ki tarah apni doshiza bahaaron ko na khona tha kabhi wo kali thi tu jise phul na hona tha kabhi iffaten mit ke jawani ko mita jati hain phul kumhlate hain kaliyan kahin kumhlati hain bulbul-e-mast-nawa dasht mein kyun rahne lagi naghma-e-tar ki jagah marsiya kyun kahne lagi hawas-aluda hui pak jawani teri ghair ki raat hai ab aur kahani teri kis ko malum tha tu is qadar arzan hogi zinat-e-mahfil o pamal-e-shabistan hogi jazb-e-iffat ka mayassar tha jo irfan tujh ko kyun na marghub hua shewa-e-jaanan tujh ko tirgi hirs ki huron ko bhi bahka hi gai tere bistar pe bhi aakhir ko shikan aa hi gai ab nahin tujh mein wo huron ki si iffat baqi hur thi tujh mein, gai, rah gai aurat baqi han wo aurat jise bachchon ka fasana kahiye barbat-e-nafs ka ek fuhsh tarana kahiye jis mein hai zahr ufunat ka wo paimana kahen ek gunahon ka bhabhakta hua mai-khana kahen nauha-khwan apni jawan maut ka hone de mujhe muskura tu magar is haal pe rone de mujhe