bahut se bhed aise hain jinhen meri nazar ka dur tak phaila hua daman abhi tak chhu nahin paya bas ek bikhrao hai har samt khal-o-khat anokhe be-jahat be-shakl jaise sardiyon ki raat barish aur kamre mein sisakte qumqume sawad-e-zehan par ek jugnuon ki lahlahati fasl ka lahrao samaat ki main kis manzil pe hun garajte baadalon ke lab muqaffal dilon ki dhadkanon ka sard aahang musalsal be-sada bekal khamoshi nind mein hai shor ko aawaz deti hai main kis ki shakl mein hun kaun hun mujh se mera kya talluq hai mere ehsas mein apnaiyat ko ghairiyat se kya shikayat hai kyun shikayat hai bahut se bhed aise hain jinhen meri nazar ka dur tak phaila hua daman abhi tak chhu nahin paya