aadmi ka nasha

do sharabi darakht
apna bada sar hila hila kar jhum rahe hain

suraj ke jam se
aaj unhon ne

kuchh ziyaada hi chadha li hai
ab wo

apni shakhon mein baithe
parindon ki chahkar se ziyaada

sadak par chalte traffic ke shor ko
inhimak se sun rahe hain

donon sharabi darakht
jadon samet

sadak par aa gire hain
traffic jam ho jata hai

basen, karen
scooter aur cyclen ruk jati hain

horn bajna shurua ho jate hain
magar nashe mein dhut darakht

jadon samet
sadak ke bichon bich pade hain

main ne darakht se ek shakh todi
aur sari raat

apne aas pas rengne wale kidon ko
marne mein guzar di

subh dusre kidon ke sath sath
mujhe us ki lash apne pairon ke aas pas hi mili

jis ke hukm par main ne apne mashkize ka pani
ret par gira diya tha

aur nange pair us ke pichhe ho liya tha
shayad main ne andhere mein

darakht ki shakh se use bhi kuchal diya tha
main ne darakht ko dekha

magar wahan to sire se koi darakht tha hi nahin
main ne aage badhne ki thani

phir mujhe andaza hua
koi mere sath sath chal raha hai

main ne use mukhatib kiya
aur use mashkize ka pani zae karne ka hukm diya

aur us ke aage aage chalne laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close