wo phul hai kaise man lun main ki phul ka rang hai ramida ghalat hai us ko bahaar kahna bahaar to hai khizan-gazida wo kahkashan hai main kaise kah dun ki kahkashan to rahin-e-shab hai main mutmain chand se nahin hun ki chand ko bhi dawam kab hai hai roz-e-raushan bhi tira-qismat ye raaz waqt-e-ghurub jaana main kaise suraj samajh lun us ko nasib suraj ka dub jaana saba se us ko misal de dun to ye jasarat-e-jawaz chahe saba to kaliyon ko zindagi de chaman ke kanton ko bhul jae wo yun nahin naghma hasin bhi ki naghma naghma-nawaz tak hai wo saz hoga to kaise hoga ki saz tarkib-e-saz tak hai jo raunaq-e-bazm pur-kashish thi wo subh hote dhuan dhuan hai yaqin hai wo shama bhi nahin hai ki shama ek shab ki dastan hai agar kahun hai wo sabz patta to dhyan mein khushk dal aae darakht kahna fuzul hoga ruton ka mujh ko khayal aae kahun use hai wo arsh-qudsi to baat phir bhi baja nahin hai zamin walon ki dastaras mein faraaz-e-arsh-e-ula nahin hai kahan ye qatra misal-e-dariya kahan meri manzil-e-talab hai use samundar qarar deta magar samundar to pur-ghazab hai use main baadal ka nam deta magar ye baadal hai kaisa baadal tamam sahra taras raha hai magar kahin aur barsa baadal main is ko thahraun raaz-e-pinhan to zehn ki hai ye na-rasai hazar fikr-o-nazar ne chaha samajh mein phir bhi na baat aai agar kahun main wo aadmi hai to kam-nigahi ke zakhm khaun farishte aadam pe mo'tariz the use farishta bhi kah na panw kahun main insan bila-tammul magar hai insan ka to saya dayar-e-sidra ki manzilon se na koi insan guzar ke aaya wo saz-e-kirdar bhi hain kamtar hai zikr jin ka kahaniyon mein kanwal se us ki misal kaisi kanwal tu khilta hai paniyon mein kitab kah kar samajhna chahun to aql ye baat bhi na mane hikayaton se dalil laun to sochun qisse main sab purane agar kahun hai wo lauh-o-kursi to baat phir bhi nahin hai jachti main jis se us ko misal deta koi to aisi misal bachti kabhi kabhi yun bhi sochta hun khuda nahin par khudai us ki kabhi kabhi yun bhi sochta hun ye had nahin intihai us ki na us ka ham-sar na us ka saya wo nur wala wo taj wala hai nabz-e-dauran pe hath us ka wo kal ka malik wo aaj wala wo kaun hai us ki intiha kya khuda hi samjhe khuda hi jaane gharib-o-khasta magar usi ko dawa bhi samjhe dua hi jaane murad jis ki hai jo bhi apni huzur rabb-e-jalil mange 'said' lekin usi ko chahun jise dua-e-khalil mange