aadmi kahta hai wo ji sakta hai lekin aisi duniya mein aadmi jite ji kaise ji sakta hai jine ki khatir aadmi loha ban jata hai aadmi aara ban jata hai aadmi katne lagta hai dharti kat jati hai sine phat jate hain aur khushiyon ke khusiye kuchle jate hain aadmi kahta hai wo ji sakta hai hansi ka hathiyar liye aadmi dukh ki jhadi katta rahta hai katte katte aadmi kat jata hai kate hue jismon mein lashen zinda rahti hain lashon ke mulk mein chalte chalte dare hue aadmi dare hue aadmi se dar jate hain mare hue aadmi mare hue aadmi ko mar dete hain