kyon yas ho na mujh ko bahbud-e-hindiyan se sunti hun gokhale bhi rukhsat hue jahan se kab tak bandha rahega tanta musibaton ka kab tak najat hogi is sakht imtihan se badhti hui umiden uthti hui umangen mitti mein mil gain sab is marg-e-na-gahan se afsos mulk-bhar mein ho ek charagh wo bhi bujh jae jalte jalte soz-e-gham-e-nihan se mata ki pahle sewa sehat ki fikr pichhe aisa suput bhaarat ab laegi kahan se hubb-e-watan hamein bhi aur gokhle ko bhi thi par tha wahan ta'alluq dil se yahan zaban se ai kash ho ye kalima phir hirz-e-jaan hamara hindi hain hum watan hai hindostan hamara karti hai saf ishaara taswir gokhle ki pachhtae ki jinhon ne tahqir gokhle ki sargoshiyan karegi ek roz aasman se han han yahan adhuri tanwir gokhle ki talim-e-ibtidai ho kar rahegi lazim raushan karegi aankhen tanwir gokhle ki africa mein na hoga farq-e-saped-o-aswad laegi rang khunin taqrir gokhle ki hubb-e-watan ko juzw-e-iman kaha gaya hai waiz samajh ke kijo takfir gokhle ki ai mo'tariz hisar-e-baatil ho lakh mohkam kar legi par sadaqat taskhir gokhle ki mat aazma ki haq ne girton ko kaise thama man jarrabalmujarrab hallat bihin-nadama