aaya hai le ke mausam saughat machchharon ki har samt ho rahi hai barsat machchharon ki kam-zat machchharon ki bad-zat machchharon ki hum khub jaante hain auqat machchharon ki dete hain hasb-e-adat bimariyon ko dawat kar kar ke hum ziyafat din-raat machchharon ki hai majra ye kaisa kya qahr hai khuda ka nazil jo ho rahi hain aafat machchharon ki aati hain hansti gati jati hain gungunati afwaj machchharon ki baraat machchharon ki bichchhu se bhi ziyaada zahrile ho chuke hain kuchh badh chuki hai itni auqat machchharon ki phaila ke kyon ghalazat aaludgi najasat karte hain parwarish kyon haalat machchharon ki har chiz se anokhi har shai se hain nirali atwar machchharon ke harkat machchharon ki chalti hain saen saen jab tez-tar hawaen banti hain bin banae kuchh baat machchharon ki is daur mein hai qillat har chiz ki magar hai ifraat machchharon ki bohtat machchharon ki apna lahu pila kar hum log 'rahi' aksar karte rahe tawazoa din-raat machchharon ki