ajnabi des ke raston pe bhatakte rahi main ne socha hai ki aaj tujhe khat likkhun aaj likkhun ki sulagte hue armanon mein kitne zahrile subuk tir chubha karte hain kaise dhundlai hui raat main be-bas aansu dar ke tanhai se tham tham ke baha karte hain jhunjhlahat mein tujhe bhulne ki koshishen bhi kin kaise phir laut bhi aane ki dua karte hain kaise masum bilakte hue ehsanon se nam le le ke tera log hansa karte hain tane kaste hain kai bar teri chahat par ruh ke ehsas ko badnam kiya karte hain aur hum hain ki bas hathon se kaleja thame be-rahm waqt ki har chot saha karte hain