jama ho kar kahin do chaar bachche magan the khel mein hanste hansate unhi mein ek bachcha hans ke bola meri nani sunati thin latifa mere dada ne banwaya tha dalan hazaron baith sakte jis mein insan ye sun kar dusra bachcha bhi bola bade andaz se ek raaz khola mere dada ke pas aisi kaman thi ki tir us ka kare sair aasman ki kaha bachchon ne tum gap marte ho miyan tum bhi kahan ki hankte ho kahan rakhte the dada us kaman ko ki jis se tir chhu le aasman ko jawab us ne diya sun kar suno to nahin gap hai haqiqat mere yaro jo dalan is ke dada ne banaya kaman rakhte the us mein mere dada