to kya wo jhut tha tu ne jo us ladki se bola tha main teri jhil jaisi nili aankhon par ghazal ke sher likkhunga main teri reshmi zulfon mein apni nazm ke moti pirounga main teri dudhiya rangat kalai mein tilai chudiyon aise khanakte git pahnane ka khwahan hun mujhe malum hai fursat nahin milti bahut se aur mauzuat bhi mana zaruri hain magar us se kiya wada bhala kya kam zaruri hai tu aisa kar koi apni purani nazm us ke nam kar de ya ghazal ke sher mein radd-o-badal kar ke kisi surat bhi us ka tazkira kar de jo teri shairi ke aaine ke samne singhaar karne baith jati hai nahin mujh se to aisa bhi nahin mumkin use meri sabhi nazmen sabhi ghazlen zabani yaad hoti hain use to meri wo ghazlen bhi azbar hain jo main ne ja ke sadiyon baad kahni hain main un yaqut honton par faqat khamoshiyan hi sabt karta hun