ab qalam mein ek rangin itr bhar lo tum hasin phulon ke shair ho koi zalim na kah de shola-e-ehsas ke kaghaz pe kuchh likhne chala tha aur kaghaz pahle hi ek rakh sa tha baat wazeh hi nahin hai shair-e-gul daere sab maslahat-bini ke ab mauhum se hain baat khul kar kah na pae tum to bas zero rahoge ab qalam mein aag bhar lo aag tum ko rakh kar dene se pahle soch legi zinda rahne do ise shayad ye meri laj rakh le log ab tak aag ke mani ghalat samjhe hue hain aag aansu aag shabnam aag aadam ke rabab-e-awwalin ka git