dhalte suraj ka zarfishan tabut le chale maghribi ufuq ke kahaar aur darmanda rahguzaron par jam gaya waqt surat-e-ashjar be-karan be-aman khalaon tak chikhti jati hain ababilen parbaton ke muhib chehron se dar ke khamosh ho gain jhilen har khandar mein hain bhut mahw-e-raqs kasa-e-sar ki le ke qindilen aur dur is fasil-e-sham se dur chand ka intizar hai tum ko khud-kushi jism-o-jaan ki kar ke bhi zist ka e'tibar hai tum ko be-nafas be-rida-e-tar-e-hayat hum barahna hayule kya ghumen munh khuli qabren ro rahi hongi aao qabron mein apni laut chalen