ye tukde ye reze ye zarre ye qatre ye reshe ye meri samajh ki nasini ke padan inhen jodta hun to koi badan na koi surahi na sahra na dariya na koi shajar kuchh bhi banta nahin lakiron se khake ubharte hain lekin ye koshish mitai hui suraten phir banati nahin ki wo jaan jis se ye sara jahan hararat se harkat se mamur tha ab kahan hai meri aql ne sard aahan ke be-jaan tukdon ko aalat ki shakl mein dhaal kar mere todne jodne ke amal mein lagaya jala kar har ek jism ko phunk kar jaan ko rakh se apni zambil bhar li to is rakh se kaise wo suraten phir janam len jinhen waqt ne aur main ne mitaya