mere apne huruf ka jal meri ruh par tang hota ja raha hai aur ab to meri ruh ki haddiyan chatakh rahi hain aur sarab-e-agahi ke samne sar patakh rahi hain sukut ke huruf jinhon ne meri samaaton se shor ka lahu nichod liya hai ye raushni ke huruf ki jinhon ne meri aankh ke kanch ke diyon mein rakha hua tel pi liya hai ye zaiqe ke huruf jinhon ne meri zaban ko labon ke darmiyan mar kar dafn kar diya hai aur ye iztirab jis ne mere pair ki ragon ki jagah safar ki khwahishon se bani sutliyan khinch di hain aur ye aagahi jis ne meri ruh ki bachi khuchi haddiyan bhi samet di hain