pyar ki aakhiri punji bhi luta aaya hun apni hasti ko bhi lagta hai mita aaya hun umr-bhar ki jo kamai thi ganwa aaya hun tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun aag bahte hue pani mein laga aaya hun tu ne likhkha tha jala dun main teri tahriren tu ne chaha tha jala dun main teri taswiren soch lin main ne magar aur hi kuchh tadbiren tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun aag bahte hue pani mein laga aaya hun tere khushbu mein base khat main jalata kaise pyar mein dube hue khat main jalata kaise tere hathon ke likhe khat main jalata kaise tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun aag bahte hue pani mein laga aaya hun jin ko duniya ki nigahon se chhupae rakkha jin ko ek umr kaleje se lagae rakkha din jin ko jinhen iman banae rakkha jin ka har lafz mujhe yaad hai pani ki tarah yaad the mujh ko jo paigham-e-zabani ki tarah mujh ko pyare the jo anmol nishani ki tarah tu ne duniya ki nigahon se jo bach kar likkhe sal-ha-sal mere nam barabar likkhe kabhi din mein to kabhi raat ko uth kar likkhe tere rumal tere khat tere chhalle bhi gae teri taswiren tere shokh lifafe bhi gae ek yug khatm hua yug ke fasane bhi gae tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun aag bahte hue pani mein laga aaya hun kitna bechain unhen lene ko ganga-jal tha jo bhi dhaara tha unhin ke liye wo bekal tha pyar apna bhi to ganga ki tarah nirmal tha tere khat aaj mein ganga mein baha aaya hun aag bahte hue pani mein laga aaya hun