aandhiyan aasmanon ka nauha zamin ko sunati hain apni gulu-gir aawaz mein kah rahi hain, darakhton ki chinghad nichi chhaton par ye raqs aasmani bagulon ka unchi chhaton ke tale khele jate darama ka manzar hai ye us zulm ka istiara hai jo shah-e-rag se habil ki garm o taza lahu ban ke ubla hai aandhiyon mein tha ek shor-e-karb-o-bala aur main ne suna karbalakarbala raat ke saham se, an-kahe wahm se band aankhon mein wahshat zada khwab utra subah akhbar ki surkhiyan ban gaya