ai khuda ai khuda main hun masruf-e-tasbih-o-hamd-o-sana go ba-zahir ibaadat ki aadat nahin hai rind-mashrab hun zohd-o-riyazat se raghbat nahin hai magar jab bhi chalta hai mera qalam jab bhi khulti hai meri zaban kuchh kahun kuchh likhun teri takhliq ka zamzama muddaa muntaha harf jud kar banen lafz to karte hain teri hamd-o-sana ya khuda ya khuda mere atraf hain pet khali badan-e-nim-jaan koi takta hai jab mera dast-e-tahi sharm aati hai mujh ko khuda-e-ghani sochta hun main apni zaban rehn rakh dun kahin rizq se khali peton ko bhar dun jo hain nim-jaan un mein jaan phunk dun aur apne liye thodi aasaishen mol le aaun bazar se apne bachchon ki zid puri kar dun jo waqif nahin hain maishat ke andaz-o-raftar se phir yahi sochta hun khuda ai khuda kya zaban rehn ho kar bhi teri itaat karegi kya qalam bik ke bhi nam tera hi lega dusron ko khuda man kar wo na karne lagen ma-siwa ki bhi hamd-o-sana ai khuda ai khuda hai dua aakhiri sans tak ye qalam ye zaban likhte rahte hain la-ilaha