ye hota hai koi mane na mane ye to hota hai kisi phaile hue lamhe kisi simte hue din ya akeli raat mein hota hai sab ke sath hota hai badan ke khun ka loha khayalon ke alao mein ubal kar surkh neze ki ani ko sar ki jaanib phenkta hai aur phir shahtir gir jata hai jis par khud farebi patli inton ki chinai karti rahti thi ye mera mal fitna hai mere man bap saya hain meri aulad fitna hai bahut tanha hai insan kimiya-gar ke pyale se gire qatre ke pare ki tarah tanha safar karte hue taron ke jhurmut mein khade qutbi sitare ki tarah tanha ye sab hanste hue lab roti aankhen hanjare ke jof se lahra ke nikli sari aawazen ye gate nachte logon ke jhurmut ishwa o naz o ada se khinchte paikar ye sari sair-bini khud-farebi hai ye sari yar-bashi aur sab sahra-nashini khud-farebi hai main apni man ke pahle dudh se dard-e-tah har jam tak tanhai ke ek khat pe chalta ja raha hun main akela hun main bazm dostan ke qahqahon ke gunj mein dube sarabi dasht ki larzish mein pani dhundta hun main akela hun meri tanhai man jai jo mere sath paida ho ke mele mein kahin gum ho gai thi meri bu ki dhundti mere lahu ko sunghti wapas chali aai hai mere samne baithi hai mujh ko dekhti hai us ka har tar-e-nazar aankhon se dakhil ho ke meri khopadi ki pusht se bahar nikalta hai meri tanhai sanat-kar hai wo meri shiryanon se lahu chhan kar neze banati hai