karam-khurda kaghazon ke dher mein madfun hai chatta hai harf harf daere qausain san tarikh aadad o shumar nuqta o zer-o-zabar tashdid o mad hasil-e-binai o zauq-e-nazar bandhta hai wahm o takhmin o guman ke kuchh hisar chumta hai katba-e-lauh-e-mazar chand nuqte ud gae hain lafz kuchh kawak hain us ki nazron mein khazina ilm ka khar o khas-o-khashak hain kya alaem kya rumuz ishkal alfaz o huruf aatish-e-taghair ke hathon pighal jate hain sab waqt ki bhatti mein tap kar ek nae sanche mein dhal jate hain sab lamha lamha munkashif hota hua sar-e-hayat munjamid alfaz ke sine mein apna nur phailata nahin karam-khurda kaghazon ki lash mein khun apna daudata nahin karam-kaghaz hai harif-e-roz-o-shab chatta hai fuzla-e-ilm-o-adab aur sar akdae khallaqan-e-mani ki taraf khanda-ba-lab