abhi wo ek din ka bhi nahin bhatti se mitti ki nasl aag ka nam puchhti aur gili chhanw tale so na na jati to qaidi qaidi na jante kaliyan khultin ya mausam raha hote ya kuchh aur hota magar yun hua ki is ke mere darmiyan ek pal tut gaya us ke mere darmiyan ek titli bhadakti phirti hai us ke mere darmiyan ek rah musafir hai us ke mere darmiyan bahut se lafz tute hue pyalon ke kundon ki tarah ek dusre mein atke hue hain so main ne aaj ka din bhi zaea hone ke liye diwar par dal diya chundhyai hui chidiya dar par kawwa kis ke mazar ki mitti liye mere aangan mein dhup dhone aa nikli hai udne mein kuchh der lagegi par gile hain chhaten unchi hain darmiyan mein dhuan dhup samet aur bikher raha hai aao mujhe riha karo mere paron se gili mitti chimti hui hai mujhe udne ka izn do ki main ne so rahne ka gunah kiya suraj kamane ab chhanw na hone dena main ne mara hua jhut jana mujhe aur sone na dena ki abhi mujhe sach bolna hai