tere baad

koi mukhlis mujhe tujh sa na mila tere baad
yaad aati hai bahut teri wafa tere baad

hum hain jine se ajal hum se khafa tere baad
hum se dil dil se hai aaram juda tere baad

koi jama na raha muntashir aate hain nazar
ilm-o-fan danish-o-din sidq-o-safa tere baad

daulat-e-faqr amiron mein nahin milti ab
phirte hain jhankte dar-dar fuqara tere baad

be-sabab tujh se wafadar ne munh mod liya
munh dikhate nahin ab ahl-e-wafa tere baad

bahs rahti thi ki hai kaun wafa ka paband
haif ye uqda-e-sar-basta khula tere baad

had ko pahunchi thi mohabbat meri tere aage
ho gai had se ye kam-bakht siwa tere baad

ganj-e-ummid-o-tarab chhin ke ru-posh hui
samne aai na phir mere qaza tere baad

dil ko bad-zan na kar ai hadim-e-lazzat ke said
jaan-e-shirin ka nahin kuchh bhi maza tere baad

ye ayan hai ki utha dahr se tu par ye bata
ho gaya baithe bithae mujhe kya tere baad

mahsharistan tapish-e-shauq se tha jo sina
maqbara hasrat-o-arman ka bana tere baad

shauq tha hansne hansane ka tere aage mujhe
bha gai rone rulane ki ada tere baad

tha teri zat pe mauquf mera naz-o-ghurur
khaksaron mein shumar ab hai mera tere baad

mera har feal tere feal ka aaina bana
bha gaya mujh ko har ek shaghl tera tere baad

badh gai ya to teri rae ki mauzuniyyat
nur ya meri basarat ka badha tere baad

pahle marghub the danish-war-o-chaalak ashab
bhole-bhaalon pe lagi hone fida tere baad

na raha ghalba-e-sauda-e-bayan-e-ghaalib
'dagh' ne pai dil-e-tafta mein ja tere baad

dost rakhti thi hamesha tere har dost ko main
ho gae apne ahibba se siwa tere baad

be-hayai hai agar 'zahida' le sher ka nam
aah ai qadr-shanas-e-shoara tere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close