meri bilkul nai aur khubsurat diary par jab us ke nanhe munne hath tedhi medhi lakiren khinch kar apne bachpan ko pesh karte hain to mujhe bilkul ghussa nahin aata use haq hai ki wo apni masum khwahishat apni soch apni chhoti si duniya ko kaghaz par utar de apne dimagh ki har girah khol kar rakh de jun ka tun apna bachpan kaghaz ke pairahan mein dhaal kar mutmain ho kar roz ki tarah daudi daudi mere pas aae mere gale mein banhen dal kar puchhe dadi aap ki taswir banaun aur mere jawab ka intizar kiye baghair ek ajab shan-e-be-niyazi se sketch-pen aur diary le kar meri taswir banane mein masruf ho jae aur apni ye taswir main duniya ke samne pesh karun ki bachche chhote nahin hote us ki banai hui ye taswir mera asli aaina ban jae