mera bap meri zindagi ka hero hai mayusiyon se bhare dinon mein us ka ek ek lafz mere sath sath chalta hai yaad hai mujhe kitni udas shamon mein sunai gai us budhe mahi-gir ki samundar mein jari jang ki dastan budha aur samundar aur phir haar jaane par kai bar ye alfaz meri ruh mein utarte rahe tabahi to muqaddar hai magar haarta hai kaun yahan shikast to aati rahegi dastaken deti rahegi jaise maut aati thi amali ke dar pe aur kah diya jata tha us ko jao waqt nahin hai mere pas jo tumhaare sath ho lun shikast ko bhi kah do bas rukta hai ab kaun yahan tumhaare waste mera bap meri zindagi ka hero hai aur hero banne ke liye zaruri hai ki guzra jae alamiya se bar bar