sunahra parinda naya ek suraj paron mein chhupae dariche mein yun chahchahane laga hai ki har roz aankhen wahi naqsh phir dhundhti hain sunahra parinda hai shishe ke andar ki shishe ke bahar koi bhi nahin jaanta hai wo akkas aisa hai manzar ghulae milae agar us ki taswir khinchi gai to na jaane wo kya kuchh dikhae sunahra parinda jo chaaron anasir ki yakjai se ek anokha sa manus manzar banae zamanon ke qisse sune aur sunae ki jab main ne suraj ko dekha nahin tha wahin tha wahin tha wo zar-baft kirnon ka pala dariche mein hai saaton ka ujala kabhi sham ki aakhiri raushni hai kabhi subh-e-raushan ka hai wo sapida sunahra parinda na aabi na khaki na hi dastani magar aasmani bhi to wo nahin hai samundar ke atraf ke sare mausam paron mein samete hue hai wo purab ko pachchhim ko uttar ko dakhkhin ko apne paron se lapete hue hai sunahra parinda jo diwar par murtasim sare giton ko nazmon ko pahchanta hai nahin jaanta hai ki ye nazm kis ne likhi hai