hum ne chaha tha dikhana kisi unwan lekin aaina tut gaya sang-zanon ke hathon chadhte suraj ki tapish aag ka dariya jaise phul murjhae hue bikhre pade hain har-su baad-e-sarsar ke thapedon se gire hon jaise har taraf sehn-e-chaman mein hai udasi chhai dam gulchin ke har ek samt bichhe hon jaise chil kawwon ke hawale se pata chalta hai murda jismon ki mahak gor-e-ghariban ka saman qarya qarya mujhe aaseb-zada lagta hai koi saya hai ki rah rah ke sada deta hai kushta-e-zulm hai ye aah-o-buka karta hai nit-nae rang se har roz sitam sahta hai bastiyan shahr-e-khamoshan ka pata deti hain shahr-e-mazlum ko ashkon se dua deti hain shahr jalta hi raha yunhi to phir khair nahin unche mahlon ko bhi ye aag jala dalegi qaisar-e-waqt ko qallash bana dalegi hai koi shama andhere mein jalane wala maut ko apne kaleje se lagane wala hum hi tanha hain sar-e-dar uthae sar ko koi monis na koi hamdam-o-nigaran apna wahshat-e-shauq mein hai chaak-gareban apna har qadam sath jahan waqt ki sachchai hai haq-paraston ki khuda-dad pazirai hai zulmat-e-shab ki siyahi bhi utar jaegi jalwa-e-subh se har chiz nikhar jaegi hum ne chaha tha dikhana kisi unwan lekin aaina tut gaya sang-zanon ke hathon