ek insan bhi tarikh badal sakta hai jab bhagat-singh yaad aata hai dil ye phula nahin samata hai fakhr karta hai apna sar uncha khun rag rag mein daud jata hai hum ne dekha hai apni aankhon se ahd-e-mazi yahi batata hai jo watan par nisar hota hai ruh-o-dil mein maqam pata hai us ko tarikh yaad karti hai misl-e-khurshid jagmagata hai ran mein aazadi-e-watan ke liye ek mujahid jo kaam aata hai aap qurban ho ke maidan mein qaum ke hausle badhata hai jabr aata hai barq ki zad par zulm ka takht dagmagata hai aur jab tak mile na aazadi parcham-e-azm lahlahata hai jari rahti hai jang-e-azadi ek ke baad ek aata hai