subh ke zafrani labon par jo shafqat ki halki si muskan thi ek thithuri hui raat ki dhund mein kho chuki hai mere chhote bhai ne mujh ko likha hai ki aangan mein jo nim ka ped tha ab ke tufan mein gir chuka hai wahan thandi chhanw nahin dhup ka silsila magar khoj mein nan-o-nafqa ki nikla hun ek kamzor sa aadmi apne khwabon ki baisakhiyon par tanga zindagi-bhar jo sukhe hue hont ki pidhiyon se kunen tak ke be-ant raston pe chalta raha aaj bhi wo mere samne aaine mein khada hai