ek chameli ke mandwe-tale mai-kade se zara dur us mod par do badan pyar ki aag mein jal gae pyar harf-e-wafa pyar un ka khuda pyar un ki chita do badan os mein bhigte chandni mein nahate hue jaise do taza-rau taza-dam phul pichhle-pahar thandi thandi subuk-rau chaman ki hawa sarf-e-matam hui kali kali laton se lapat garm rukhsar par ek pal ke liye ruk gai hum ne dekha unhen din mein aur raat mein nur-o-zulmat mein masjidon ke manaron ne dekha unhen mandiron ke kiwadon ne dekha unhen mai-kadon ki daradon ne dekha unhen az-azal ta-abad ye bata chaara-gar teri zambil mein nuskha-e-kimiya-e-mohabbat bhi hai kuchh ilaj o mudawa-e-ulfat bhi hai ek chameli ke mandwe-tale mai-kade se zara dur us mod par do badan